Monday, November 18, 2019

aankho-dekhi

ye sab ek-samaan kyu nhi hai
ye has kyu raha hai
wo bol kyu raha hai
jab mera samay aata hai to
wo ro kyu raha hai?

maine to bas ye chaha hai
aaj ke din bas ye khush rahe
bas naachte rahein, bolte rahein
khelte rahein, kuch karte rahein
aaj mera din hai... to ye
naraz kyu hai, pareshan kyu hai
bimaar kyu hai, deewar kyu hai
to aaj ye insaan kyu hai

mere iss dil ko koi to samjhe
main ek dulha hu, dulhan hu,
baccha hu, saccha hu,
mehmaan hu, khaas hu
buddha hu, bimaar hu
insaano ke beech mein
main bhi to ek insaan hu

sab kuch aasaan kyu nhi
wo samajhte kyu nhi
meri bhavnao ko, vicharo ko
wo badalte kyu nhi
apni soch ko, kapdo ko
apne rishto ko, vyavahar ko
kyu insaano ki tarah rehte hain
apne aap ko meri soch mein
dhaalte kyu nhi...

No comments:

Post a Comment