Thursday, December 31, 2015

PRP-forever!

kuch cheeze hain jo duniya tumhe seekhati hai
kuch yaadein hain jo aankho mein bass jaati hain
kuch baatein hain jo kabhi na khatam hone aati hain
ek dosti hai jo na khud se banayi jaati hain

wo rishta jo dil se nikalta hai
shabdo mein kabhi na bayaan ho pata hai
samay or milo ki dooriya na inhe dikhti hain
ek alag hi aayam inn bhavnao ko mil jaata hai

na jaane kaha se chalkar kaha pahuch jaate hain
hum desh ko chod naye desh mein bass jaate hain
unn yaado ke sahare duniya se takra jaate hain
hum dost ke liye desh to kya duniya laangh jaate hain

pyaar vyaar bahut suna, bahut dekha inn aankho ne
jo rishta dil se ho, wo dimaag se samjhana chaha hamne
kabhi sochne baithne hain, kya wajah de iss ehsaas ko
kabhi na milne wale jawab ko pehchaan jaate hain

kuch ese hi logo ne ehsaas karaya humko
ye rishta ek zindagi ka mohtaaz nhi
janmo ke saathi hain hum, jyada sochne ki jarurat nahi
marr kar bhi peecha na chuda paaoge, tumhe iska ehsaas nahi