Thursday, November 24, 2016

Nayi Raah!

Nikal pade hain iss raah mein ab
peeche chod, wo raatein, wo baatein,
wo muskan, wo chaahat
wo tumhe apna kehna, wo jalna
tumhaare aasuon ka dard,
apne dil mein mehsoos karna
chod chale hain hum uss raah pe

wo tumhe dekh khush hona
bas ek jhalak ke liye paristhitiyo se lad jana
wo apne dost ko raste se hatana
tumhaari pareshaniyo ke liye
apne gam ko bhool jana
nikal pade hai ab uss raah pe

hamne to duniya ke saare kanoon tod daale
saare rishto ke bandhan, paribhashayein badal daali
ek tumhaari khushi ke liye apni aankhein moond li
dosti ke kalam se hamne pyaar ki lakir kheech di

Ladte rehte hain apne aap se hi
tumhe sahi saabit karne ki jaddojahat mein
nakaarte rehte hain apne samman ko
bas tumhe wapas sunne ki khwaahish mein
par kabhi main, main ko jeeta nhi sakta
kyunki ab main ho chuka hai tera iss pyaar mein

tumne jana gairo ke jaisa pyaar hai hamara
obsession, devotion mein farak na jana
shiddat kis chidiya ka naam hai ye ab hum batayenge
saath na sahi alag hokar tumhe ehsaas karayenge

alag kar diya hai ab uss zeher bhare ang ko
jhel bhi rahe hain abhi uss dard ko
ro lete hain kabhi kabhi fir dekh uss dil ke tukde ko
par bhula denge zindagi ke unn lamho ko
koi buraa sapna jaise dekha ho kisi raat ko

ab uss raah par nikal pade hain,
jaha se zindagi ki manzil gum hai
ab bas chalna hai, kyunki ruke to doob jayenge
abhi aage badhna hai, thame to hum tham jayenge.