Apne kuch asulo ko thame ham chale
uss duur gunjati aawaz ko thukrate hum chale
bechani mein khoye hue samay guzarta gaya
ab bas roshni ki kiran ke sahare tairte hum chale
mere asool meri pehchan hain,
mera kawach, meri kahani hai
inhi ke saare, issi se bandhe
main apni gali mein bhaga ja raha hu
ye kise pata soch badalte der nhi lagti,
kab ye gali bhoolbhaliya ban jaye
kab doosri gali mein
naye asoolo mein doob jayein.
Tumhare andar ki aawaz bahut kuch kehti hai
har mod pe, har mauke pe, apni raaye diye jati hai
usse nhi pata apni chanchalta ka parinaam
uska bas mann hai, kuch bhi, kuch badlaav
ab jahan bhi hain, jaise bhi hain..
apne assulo ko, apne mann ko manaye aage badhna hai
abhi to rukne ka mann nhi, abhi aur dekhna hai...
kya karna hai!!!
No comments:
Post a Comment