Tumhari har subah bas khilti rahe
Har Shaam mehekti rahe,
Bas ye muskan bani rahe
chahe kitne hi din badalte rahe
Na hi koi Gam tumhe choo paye
Na to Koi pareshani, koi aabhas karaye
Chameli ki khushbu ki tarah
Khushi ki mehek tum mein Basi rahe
Zindagi ke iss raaste mein
Koi kaanta chubh bhi Jaye
Kabhi thokar lag bhi jaye
To bas ye yaad rakhna
pyar ka marham esa denge
Iss raaste ko foolo se saja denge
Ab ye sawal na karna ki
Esa kya Hai tujhme
Iss ehsaas ko
Iss ehsaas ko
Shabdo mein badalne ki Samajh
kahan Hai mujhme
Har Shaam mehekti rahe,
Bas ye muskan bani rahe
chahe kitne hi din badalte rahe
Na hi koi Gam tumhe choo paye
Na to Koi pareshani, koi aabhas karaye
Chameli ki khushbu ki tarah
Khushi ki mehek tum mein Basi rahe
Zindagi ke iss raaste mein
Koi kaanta chubh bhi Jaye
Kabhi thokar lag bhi jaye
To bas ye yaad rakhna
pyar ka marham esa denge
Iss raaste ko foolo se saja denge
Ab ye sawal na karna ki
Esa kya Hai tujhme
Iss ehsaas ko
Iss ehsaas ko
Shabdo mein badalne ki Samajh
kahan Hai mujhme
No comments:
Post a Comment