Tuesday, March 15, 2016

Aag

Kab tak iss dil mein shamma jalaye rakhoge
kab tak iss aag ko hawa diye jaoge

kabhi to ye jindagi tumhe aukat dikhayegi
uss aag ke andar tumhe asliyat nazar aayegi

thokar to zingadi mein milni hi hai
fir bhi jo na seekhe, ye aag usse jalayegi

jo doosro ko musibaton se nikalna janta hai
usse ye zindagi kya musibato mein daalegi

aag mein tapkar hi loha majboot hota hai
fir iss loye ko zindagi kya jalayegi

khud ko jalake doosro ko jo roshan kare
wo tumhaari raakh ko kabhi thanda nahi hone denge

ab na roshni karni hai na jalna hai na jalana hai
bas iss aag ko thanda kar zindagi ko jeena hai




1 comment:

  1. Love yourself enough to set boundaries. Your time and energy are precious. You get to choose how you use it. You teach people how to treat you by deciding what you will and won't accept.

    ReplyDelete