kehne ko to bahut kuch hai
lekin kya sabdo se bayaan ho payega
wo tumhara jhaadu se marna
haath se thak ke chapplo se marna
esa pyaar kya koi kar payega!
pehle papa se shikayat karna
fir khud hi aakar hamein bachana
rote dekh apne haath se khana khilana
esa dulaar koi kar payega!
wo tumhara navratri ke vrat rakhna
laddoo kheer hamare liye banana
wo exam ke baad question paper padhna
aur hamari saari bakbak dhyaan se sunna
tum itna dhairya aur himmat kaha se laati ho
kaise subah se shaam tak thak na jaati ho
mann bas yahi vichaar mein duba rehta hai
kya ye kabhi wo saahas rakh payega
esa niswarth prem koi kar payega!
kuch dekha parkha zindagi ko hamne
bahut se neta, diggajo ko padha hamne
kaise log mushkilo se takra ke aage badh jaate hain
mere liye to maa, tere hi udaaharan kaam aate hain
tumse hi seekh iss duniya ki parakh kari hamne
kaise "mera baccha sabse accha" kehke bhi
hamari galtiyo ko sudhara tumne
tum ho to apne aap pe garv karte hain
kisi se bhi takra jayenge itni himmat rakhte hain
itne jogi mahatma logo ko dekhta hu lekin
Maa se bada kya koi guru mil payega!
iss choti samajh ne "Pyaar" ko tatola bahut saal
kisi ki aankhen acchi, kisi ki baatein, kisi ke gaal
iss adhoore insaan ko koi kaise chahe bhagwan.
Jane kaise teri mamta mein main samaata hu
upar wale ki chaal hai koi main samajhta hu
bhautik jagat ke gyaan ke liye Geeta ko likh diya
Pyaar samajhane ke liye, tumhe mere paas bhej gaya
itne logo se pyaar kiya, pyaar paya humne
lekin kya koi esa "Unconditional" pyaar kar payega!!!